ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho
ek tarīqa ye bhī hai jab jiinā ik nā-chārī ho
haath bañdhe hoñ siine par dil bai.at se inkārī ho
jashn-e-zafar ek aur safar kī saa.at kā dībācha hai
ḳhema-e-shab meñ raqs bhī ho aur kuuch kī bhī tayyārī ho
is se kam par ram-ḳhurdūñ kā kaun ta.āqub kartā hai
yā bānu-e-kū-e-avadh ho yā āhū-e-tatārī ho
daa.im hai sultānī ham shahzādoñ ḳhāk-nihādoñ kī
barq-o-sharar kī masnad ho yā taḳht-e-bād-e-bahārī ho
ham to raat kā matlab samjheñ ḳhvāb, sitāre, chāñd, charāġh
aage kā ahvāl vo jaane jis ne raat guzārī ho
ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho
hath bandhe hon sine par dil baiat se inkari ho
jashn-e-zafar ek aur safar ki saat ka dibacha hai
KHema-e-shab mein raqs bhi ho aur kuch ki bhi tayyari ho
is se kam par ram-KHurdun ka kaun taaqub karta hai
ya banu-e-ku-e-awadh ho ya aahu-e-tatari ho
daim hai sultani hum shahzadon KHak-nihadon ki
barq-o-sharar ki masnad ho ya taKHt-e-baad-e-bahaari ho
hum to raat ka matlab samjhen KHwab, sitare, chand, charagh
aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.