ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti
ek kiran bas raushniyoñ meñ sharīk nahīñ hotī
dil ke bujhne se duniyā tārīk nahīñ hotī
jaise apne haath uThā kar ghaTā ko chhū lūñgā
lagtā hai ye zulf magar nazdīk nahīñ hotī
terā badan talvār sahī kis ko hai jaan aziiz
ab aisī bhī dhaar us kī bārīk nahīñ hotī
sher to mujh se terī āñkheñ kahlā letī haiñ
chup rahtā huuñ maiñ jab tak tahrīk nahīñ hotī
dil ko sambhāle hañstā boltā rahtā huuñ lekin
sach pūchho to 'zeb' tabī.at Thiik nahīñ hotī
ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti
dil ke bujhne se duniya tarik nahin hoti
jaise apne hath uTha kar ghaTa ko chhu lunga
lagta hai ye zulf magar nazdik nahin hoti
tera badan talwar sahi kis ko hai jaan aziz
ab aisi bhi dhaar us ki barik nahin hoti
sher to mujh se teri aankhen kahla leti hain
chup rahta hun main jab tak tahrik nahin hoti
dil ko sambhaale hansta bolta rahta hun lekin
sach puchho to 'zeb' tabiat Thik nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.