ek aaina ru-ba-ru hai abhi
ek ā.īna rū-ba-rū hai abhī
us kī ḳhushbū se guftugū hai abhī
vahī ḳhāna-ba-dosh ummīdeñ
vahī be-sabr dil kī ḳhū hai abhī
dil ke gunjān rāstoñ pe kahīñ
terī āvāz aur tū hai abhī
zindagī kī tarah ḳhirāj-talab
koī darmāñda aarzū hai abhī
bolte haiñ diloñ ke sannāTe
shor sā ye jo chār-sū hai abhī
zard pattoñ ko le ga.ī hai havā
shāḳh meñ shiddat-e-numū hai abhī
varna insān mar gayā hotā
koī be-nām justujū hai abhī
ham-safar bhī haiñ rahguzar bhī hai
ye musāfir hī kū-ba-kū hai abhī
ek aaina ru-ba-ru hai abhi
us ki KHushbu se guftugu hai abhi
wahi KHana-ba-dosh ummiden
wahi be-sabr dil ki KHu hai abhi
dil ke gunjaan raston pe kahin
teri aawaz aur tu hai abhi
zindagi ki tarah KHiraj-talab
koi darmanda aarzu hai abhi
bolte hain dilon ke sannaTe
shor sa ye jo chaar-su hai abhi
zard patton ko le gai hai hawa
shaKH mein shiddat-e-numu hai abhi
warna insan mar gaya hota
koi be-nam justuju hai abhi
ham-safar bhi hain rahguzar bhi hai
ye musafir hi ku-ba-ku hai abhi
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.