phir dil ko roz o shab ki wahi id chahiye
phir dil ko roz o shab kī vahī iid chāhiye
TuuTe ta.alluqāt kī tajdīd chāhiye
ḳhālī nahīñ hai ek bhī bistar makān meñ
ik ḳhvāb dekhne ke liye niiñd chāhiye
ham māñgte rahe tire ruḳhsār o lab kī ḳhair
ai sāhab-e-jamāl tirī diid chāhiye
ham ko to ik rifāqat-e-āshufta-sar bahut
in ko hujūm-e-rāh kī tā.īd chāhiye
har āstīñ ke ḳhuun ne qātil batā diye
shahr-e-sitam ko zulm kī tardīd chāhiye
ham par zamīñ ke raaz to sab munkashif hue
ab āsmāñ ke hone kī tamhīd chāhiye
phir dil ko roz o shab ki wahi id chahiye
TuTe talluqat ki tajdid chahiye
KHali nahin hai ek bhi bistar makan mein
ek KHwab dekhne ke liye nind chahiye
hum mangte rahe tere ruKHsar o lab ki KHair
ai sahab-e-jamal teri did chahiye
hum ko to ek rifaqat-e-ashufta-sar bahut
in ko hujum-e-rah ki taid chahiye
har aastin ke KHun ne qatil bata diye
shahr-e-sitam ko zulm ki tardid chahiye
hum par zamin ke raaz to sab munkashif hue
ab aasman ke hone ki tamhid chahiye
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 277)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.