pahle to aati thin iden bhi tumhaare aae
pahle to aatī thiiñ ii.deñ bhī tumhāre aa.e
ḳhairiyat ab ke tum aa.e to akele aa.e
terī be-sāḳhta hairānī kahāñ hai ai dost
ham to ātish kahīñ īñdhan ke evaz de aa.e
ab to rahzan hī koī roke to mālūm paḌe
rahnumā kaise ujāḌoñ meñ hameñ le aa.e
ham to yak-rañg ujāle se hī mas.hūr rahe
raushnī tujh meñ ye sat-rañg kahāñ se aa.e
ham ne bechī thiiñ jahāñ nīndeñ usī manDī se
terī āñkhoñ ke liye ḳhvāb suhāne aa.e
pahle to aati thin iden bhi tumhaare aae
KHairiyat ab ke tum aae to akele aae
teri be-saKHta hairani kahan hai ai dost
hum to aatish kahin indhan ke ewaz de aae
ab to rahzan hi koi roke to malum paDe
rahnuma kaise ujaDon mein hamein le aae
hum to yak-rang ujale se hi mashur rahe
raushni tujh mein ye sat-rang kahan se aae
hum ne bechi thin jahan ninden usi manDi se
teri aankhon ke liye KHwab suhane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.