id hai aur saqi-e-nau-KHez maiKHane mein hai
Interesting Fact
October 1982
iid hai aur sāqī-e-nau-ḳhez maiḳhāne meñ hai
aaj piine kā maza pī kar bahak jaane meñ hai
kaif-o-mastī jo tirī āñkhoñ ke ḳhum-ḳhāne meñ hai
vo tirī miinā meñ hai saaqī na paimāne meñ hai
hai ġham-e-dīvār us ko aur na fikr-e-pairahan
kyā farāġhat tere dīvāne ko vīrāne meñ hai
gar jalāne meñ jigar kā ḳhuuñ hai lutf-e-intizār
hijr kī lazzat bhī mar mar ke jiye jaane meñ hai
us kī nazreñ bhāñp letī haiñ tujhe har rañg meñ
kis balā kī hoshiyārī tere dīvāne meñ hai
aur uljhāte chale jaate ho mere sub.h-o-shām
jab se tum ko ye shaġhaf gesū ke suljhāne meñ hai
ab balā se ho charāġh-e-dair yā sham-e-haram
qasd jal kar ḳhaak ho jaane kā parvāne meñ hai
id hai aur saqi-e-nau-KHez maiKHane mein hai
aaj pine ka maza pi kar bahak jaane mein hai
kaif-o-masti jo teri aankhon ke KHum-KHane mein hai
wo teri mina mein hai saqi na paimane mein hai
hai gham-e-diwar us ko aur na fikr-e-pairahan
kya faraghat tere diwane ko virane mein hai
gar jalane mein jigar ka KHun hai lutf-e-intizar
hijr ki lazzat bhi mar mar ke jiye jaane mein hai
us ki nazren bhanp leti hain tujhe har rang mein
kis bala ki hoshiyari tere diwane mein hai
aur uljhate chale jate ho mere subh-o-sham
jab se tum ko ye shaghaf gesu ke suljhane mein hai
ab bala se ho charagh-e-dair ya sham-e-haram
qasd jal kar KHak ho jaane ka parwane mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.