hamare shahr mein elan-e-id ho gaya hai
hamāre shahr meñ elān-e-īd ho gayā hai
tire na hone kā ġham aur shadīd ho gayā hai
hamārī ruuh badan toḌ kar nikal saktī
hamārā dard kuchh itnā shadīd ho gayā hai
hamāre andar ik achchhā sharīf insāñ thā
hamāre saath meñ rah kar palīd ho gayā hai
faqat dimāġh hī rakhtā hai ab hamārā ḳhayāl
hamārā dil to kisī kā murīd ho gayā hai
hamare shahr mein elan-e-id ho gaya hai
tere na hone ka gham aur shadid ho gaya hai
hamari ruh badan toD kar nikal sakti
hamara dard kuchh itna shadid ho gaya hai
hamare andar ek achchha sharif insan tha
hamare sath mein rah kar palid ho gaya hai
faqat dimagh hi rakhta hai ab hamara KHayal
hamara dil to kisi ka murid ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.