ehsas mein shiddat hai wahi kam nahin hoti
ehsās meñ shiddat hai vahī kam nahīñ hotī
ik umr huī dil kī lagī kam nahīñ hotī
lagtā hai kahīñ pyaar meñ thoḌī sī kamī thī
aur pyaar meñ thoḌā sī kamī nahīñ hotī
aksar ye mirā zehn bhī thak jaatā hai lekin
raftār ḳhayāloñ kī kabhī kam nahīñ hotī
thā zahr ko hoñToñ se lagānā hī munāsib
varna ye mirī tishna-labī kam nahīñ hotī
maiñ bhī tire iqrār pe phūlā na samāyā
tujh ko bhī mujhe pā ke ḳhushī kam nahīñ hotī
fitrat meñ to donoñ kī bahut farq hai lekin
tāqat meñ samundar se nadī kam nahīñ hotī
ehsas mein shiddat hai wahi kam nahin hoti
ek umr hui dil ki lagi kam nahin hoti
lagta hai kahin pyar mein thoDi si kami thi
aur pyar mein thoDa si kami nahin hoti
aksar ye mera zehn bhi thak jata hai lekin
raftar KHayalon ki kabhi kam nahin hoti
tha zahr ko honTon se lagana hi munasib
warna ye meri tishna-labi kam nahin hoti
main bhi tere iqrar pe phula na samaya
tujh ko bhi mujhe pa ke KHushi kam nahin hoti
fitrat mein to donon ki bahut farq hai lekin
taqat mein samundar se nadi kam nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.