duniya shayad bhul rahi hai
duniyā shāyad bhuul rahī hai
chāhat kuchh ūñchā suntī hai
jab chādar sar se oḌhī hai
maut sirhāne par dekhī hai
itnā sachchā lagtā hai vo
dekho to hairat hotī hai
qurb kī saa.at to yāroñ ko
chup karne meñ guzar jaatī hai
aao gale mil kar ye dekheñ
ab ham meñ kitnī duurī hai
faisle auroñ ke kartā huuñ
apnī sazā kaTtī rahtī hai
yug biite duniyā meñ aa.e
soch vahī mehmānoñ sī hai
chalnā bhī ik aadat hai bas
saarī thakan āzādī kī hai
duniya shayad bhul rahi hai
chahat kuchh uncha sunti hai
jab chadar sar se oDhi hai
maut sirhane par dekhi hai
itna sachcha lagta hai wo
dekho to hairat hoti hai
qurb ki saat to yaron ko
chup karne mein guzar jati hai
aao gale mil kar ye dekhen
ab hum mein kitni duri hai
faisle auron ke karta hun
apni saza kaTti rahti hai
yug bite duniya mein aae
soch wahi mehmanon si hai
chalna bhi ek aadat hai bas
sari thakan aazadi ki hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 59)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.