doston ne ye gul khilaya tha
dostoñ ne ye gul khilāyā thā
haath dushman se jā milāyā thā
āstīnoñ meñ saañp paale the
duudh ḳhud hī unheñ pilāyā thā
zaḳhm kaarī bahut lagā dil par
tiir apnoñ ne ik chalāyā thā
barq māñgī nahīñ falak tujh se
ham ne ḳhirman ko ḳhud jalāyā thā
dil ko zaḳhmoñ se chuur honā thā
ishq kī raah par chalāyā thā
pūchhte ho dhuāñ haiñ kyuuñ āñkheñ
jaañ kī bastī meñ dil jalāyā thā
maiñ to bhūlā nahīñ 'sahāb' us ko
us ne kaise mujhe bhulāyā thā
doston ne ye gul khilaya tha
hath dushman se ja milaya tha
aastinon mein sanp pale the
dudh KHud hi unhen pilaya tha
zaKHm kari bahut laga dil par
tir apnon ne ek chalaya tha
barq mangi nahin falak tujh se
hum ne KHirman ko KHud jalaya tha
dil ko zaKHmon se chur hona tha
ishq ki rah par chalaya tha
puchhte ho dhuan hain kyun aankhen
jaan ki basti mein dil jalaya tha
main to bhula nahin 'sahab' us ko
us ne kaise mujhe bhulaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.