dil ko rone ke liye aankh mein bas pani hai
dil ko rone ke liye aañkh meñ bas paanī hai
ālam-e-zāt meñ kyā be-sar-o-sāmānī hai
tishna-lab aisā ki hoñToñ pe paḌe haiñ chhāle
mutma.in aisā huuñ dariyā ko bhī hairānī hai
ab ki mumkin hai zamīñ ḳhuun kī pyāsī na rahe
ik qabīle ne mirī baat nahīñ maanī hai
peḌ ke baa'd parindoñ ne bhī par kaaT liye
az-zamīñ tā-ba-falak sog hai vīrānī hai
vo jo laḌkī hai nā kapḌe nahīñ chhoTe us ke
dekhne vaale tirī aañkh meñ 'uryānī hai
hālat-e-dil pe parindoñ ne bhī nauha likkhā
chhoḌne vaale batā tujh ko pashemānī hai
dil ko rone ke liye aankh mein bas pani hai
aalam-e-zat mein kya be-sar-o-samani hai
tishna-lab aisa ki honTon pe paDe hain chhaale
mutmain aisa hun dariya ko bhi hairani hai
ab ki mumkin hai zamin KHun ki pyasi na rahe
ek qabile ne meri baat nahin mani hai
peD ke ba'd parindon ne bhi par kaT liye
az-zamin ta-ba-falak sog hai virani hai
wo jo laDki hai na kapDe nahin chhoTe us ke
dekhne wale teri aankh mein 'uryani hai
haalat-e-dil pe parindon ne bhi nauha likkha
chhoDne wale bata tujh ko pashemani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.