dil jo ummid-war hota hai
dil jo ummīd-vār hotā hai
tīr-e-ġham kā shikār hotā hai
jab tirā intizār hotā hai
dil mirā be-qarār hotā hai
ye hī fasl-e-junūñ kī hai tamhīd
pairahan taar taar hotā hai
aañkh milte hī us sitamgar se
tiir siine ke paar hotā hai
muskurāhaT laboñ pe hai un ke
dil mirā ashk-bār hotā hai
us kā karte haiñ e'tibār ki jo
qābil-e-e'tibār hotā hai
uTh ke pahlū se jā rahā hai koī
kyā ye parvardigār hotā hai
kyā batā.ūñ tirī judā.ī meñ
jo mirā hāl-e-zār hotā hai
shām-e-ġham intizār meñ un ke
maut kā intizār hotā hai
un ke jaane kā naam sun kar 'rāz'
kuchh ajab hāl-e-zār hotā hai
dil jo ummid-war hota hai
tir-e-gham ka shikar hota hai
jab tera intizar hota hai
dil mera be-qarar hota hai
ye hi fasl-e-junun ki hai tamhid
pairahan tar tar hota hai
aankh milte hi us sitamgar se
tir sine ke par hota hai
muskurahaT labon pe hai un ke
dil mera ashk-bar hota hai
us ka karte hain e'tibar ki jo
qabil-e-e'tibar hota hai
uTh ke pahlu se ja raha hai koi
kya ye parwardigar hota hai
kya bataun teri judai mein
jo mera haal-e-zar hota hai
sham-e-gham intizar mein un ke
maut ka intizar hota hai
un ke jaane ka nam sun kar 'raaz'
kuchh ajab haal-e-zar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.