dikhawa hi karna hai to phir baDa kar
dikhāvā hī karnā hai to phir baḌā kar
tū shā.ir nahīñ ḳhud ko āshiq kahā kar
yuuñ shāḳhoñ kī sautan khaḌī mat huā kar
shajar kī kamar se kamar tū lagā kar
badan se uchhal kar nikal aa.egī ruuh
mire ḳhvāb meñ ġhair ko mat chhuā kar
bahut der kar dī ye kahne meñ maiñ ne
zarā to suno mujh ko itnā sunā kar
jise dekhiye ḳhaak ho jā.egā vo
nazar meñ 'anant' ashk haiñ kul milā kar
dikhawa hi karna hai to phir baDa kar
tu shair nahin KHud ko aashiq kaha kar
yun shaKHon ki sautan khaDi mat hua kar
shajar ki kamar se kamar tu laga kar
badan se uchhal kar nikal aaegi ruh
mere KHwab mein ghair ko mat chhua kar
bahut der kar di ye kahne mein main ne
zara to suno mujh ko itna suna kar
jise dekhiye KHak ho jaega wo
nazar mein 'anant' ashk hain kul mila kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.