didani hai hamari zebai
dīdanī hai hamārī zebā.ī
ham ki haiñ husn ke tamannā.ī
bas ye hai intihā ta'alluq kī
zikr par un ke aañkh bhar aa.ī
tū na kar apnī mahfiloñ ko udaas
raas hai ham ko ranj-e-tanhā.ī
ham to kah deñ 'salīm' haal tirā
kab vahāñ hai kisī kī shunvā.ī
aur to kyā diyā bahāroñ ne
bas yahī chaar din kī rusvā.ī
ham ko kyā kaam rang-e-mahfil se
ham to haiñ duur ke tamāshā.ī
vo junūñ ko baḌhā.e jā.eñge
un kī shohrat hai merī rusvā.ī
mo'taqid haiñ hamārī vahshat ke
shahr meñ jis qadar haiñ saudā.ī
'ishq sāhib ne dil pe dastak dī
aa.iye murshidī o maulā.ī
ye zamāne kā jabr hai ki 'salīm'
ho ke mere bane haiñ saudā.ī
didani hai hamari zebai
hum ki hain husn ke tamannai
bas ye hai intiha ta'alluq ki
zikr par un ke aankh bhar aai
tu na kar apni mahfilon ko udas
ras hai hum ko ranj-e-tanhai
hum to kah den 'salim' haal tera
kab wahan hai kisi ki shunwai
aur to kya diya bahaaron ne
bas yahi chaar din ki ruswai
hum ko kya kaam rang-e-mahfil se
hum to hain dur ke tamashai
wo junun ko baDhae jaenge
un ki shohrat hai meri ruswai
mo'taqid hain hamari wahshat ke
shahr mein jis qadar hain saudai
'ishq sahib ne dil pe dastak di
aaiye murshidi o maulai
ye zamane ka jabr hai ki 'salim'
ho ke mere bane hain saudai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.