dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun
dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
dekhne vaalā koī mile to dil ke daaġh dikhā.ūñ
ye nagrī andhoñ kī nagrī kis ko kyā samjhā.ūñ
naam nahīñ hai koī kisī kā ruup nahīñ hai koī
maiñ kis kā saaya huuñ kis ke saa.e se Takrā.ūñ
saste dāmoñ bech rahe haiñ apne-āp ko log
maiñ kyā apnā mol batā.ūñ kyā kah kar chillā.ūñ
apne sapīd o siyah kā mālik ek tarah se maiñ bhī huuñ
din meñ sameTūñ apne-āp ko raat meñ phir bikhrā.ūñ
apne hoñ yā ġhair hoñ sab ke andar se hai ek sā haal
kis kis ke maiñ bhed chhupā.ūñ kis kī hañsī uḌā.ūñ
pyāsī bastī pyāsā jañgal pyāsī chiḌiyā pyāsā pyaar
maiñ bhaTkā āvāra bādal kis kī pyaas bujhā.ūñ
dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun
ye nagri andhon ki nagri kis ko kya samjhaun
nam nahin hai koi kisi ka rup nahin hai koi
main kis ka saya hun kis ke sae se Takraun
saste damon bech rahe hain apne-ap ko log
main kya apna mol bataun kya kah kar chillaun
apne sapid o siyah ka malik ek tarah se main bhi hun
din mein sameTun apne-ap ko raat mein phir bikhraun
apne hon ya ghair hon sab ke andar se hai ek sa haal
kis kis ke main bhed chhupaun kis ki hansi uDaun
pyasi basti pyasa jangal pyasi chiDiya pyasa pyar
main bhaTka aawara baadal kis ki pyas bujhaun
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 26)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.