daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla
daur-e-āġhāz-e-jafā dil kā sahārā niklā
hausla kuchh na hamārā na tumhārā niklā
terā naam aate hī sakte kā thā 'ālam mujh par
jaane kis tarah ye mazkūr dobārā niklā
hosh jaatā hai jigar jaatā hai dil jaatā hai
parde hī parde meñ kyā terā ishārā niklā
hai tire kashf-o-karāmāt kī duniyā qaa.il
tujh se ai dil na magar kaam hamārā niklā
kitne saffāk sar-e-qatl-gah-e-ālam the
lākhoñ meñ bas vahī allāh kā pyārā niklā
ibrat-añgez hai kyā us kī javāñ-margī bhī
haa.e vo dil jo hamārā na tumhārā niklā
'ishq kī lau se farishtoñ ke bhī par jalte haiñ
rashk-e-ḳhurshīd-e-qayāmat ye sharārā niklā
sar-ba-sar be-sar-o-sāmāñ jise samjhe the vo dil
rashk-e-jamshed-o-kai-o-ḳhusrau-o-dārā niklā
rone vaale hue chup hijr kī duniyā badlī
sham' be-nūr huī sub.h kā taarā niklā
uñgliyāñ uTThīñ 'firāq'-e-vatan-āvāra par
aaj jis samt se vo dard kā maarā niklā
daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla
hausla kuchh na hamara na tumhaara nikla
tera nam aate hi sakte ka tha 'alam mujh par
jaane kis tarah ye mazkur dobara nikla
hosh jata hai jigar jata hai dil jata hai
parde hi parde mein kya tera ishaara nikla
hai tere kashf-o-karamat ki duniya qail
tujh se ai dil na magar kaam hamara nikla
kitne saffak sar-e-qatl-gah-e-alam the
lakhon mein bas wahi allah ka pyara nikla
ibrat-angez hai kya us ki jawan-margi bhi
hae wo dil jo hamara na tumhaara nikla
'ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain
rashk-e-KHurshid-e-qayamat ye sharara nikla
sar-ba-sar be-sar-o-saman jise samjhe the wo dil
rashk-e-jamshed-o-kai-o-KHusrau-o-dara nikla
rone wale hue chup hijr ki duniya badli
sham' be-nur hui subh ka tara nikla
ungliyan uTThin 'firaq'-e-watan-awara par
aaj jis samt se wo dard ka mara nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.