saqi gaya hai ruTh ke humse hazar-haif
saaqī gayā hai ruuTh ke ham se hazār-haif
aatī hai kyoñ tū dhuum se ab ke bahār haif
kal shoḳh se do-chār maiñ ho raah meñ kahā
kis kā male ho haat meñ ḳhuuñ ko nigār haif
kahne lagā ki kuchh hai tujhe sūjhtā nahīñ
andhe ye hai hinā tū na kah bār-bār haif
neñ to qasam ḳhudā kī maiñ samjhūñgā be-tarah
kuchh bhī shu.ūr hai tujhe ai bad-shi.ār haif
maiñ ne kahā ki baḳhsho miyāñ lo ḳhudā kā naam
achchhe ho tum bhī roz ho lekin hazār-haif
majnūñ-sifat phirūñ huuñ maiñ sahrā meñ to bhī haa.e
ai lailā-vash kiyā nahīñ bos-o-kanār haif
royā huuñ bas-ki hijr meñ āñkheñ huiiñ safed
muddat guzar ga.iiñ na milā tū to yaar haif
us be-vafā neñ sun ke ġhazab se kahā mujhe
kis din kiyā thā mujh pe dil apnā nisār haif
maiñ tujh ko jāntā hī nahīñ huuñ ḳhudā kī soñ
aave hai mujh ko hone se tere do-chār haif
vaqte ki til-ruḳhān-e-jahāñ kā ye rang ho
phir zindagī jahān meñ kiije hazār-haif
saqi gaya hai ruTh ke hum se hazar-haif
aati hai kyon tu dhum se ab ke bahaar haif
kal shoKH se do-chaar main ho rah mein kaha
kis ka male ho hat mein KHun ko nigar haif
kahne laga ki kuchh hai tujhe sujhta nahin
andhe ye hai hina tu na kah bar-bar haif
nen to qasam KHuda ki main samjhunga be-tarah
kuchh bhi shuur hai tujhe ai bad-shiar haif
main ne kaha ki baKHsho miyan lo KHuda ka nam
achchhe ho tum bhi roz ho lekin hazar-haif
majnun-sifat phirun hun main sahra mein to bhi hae
ai laila-wash kiya nahin bos-o-kanar haif
roya hun bas-ki hijr mein aankhen huin safed
muddat guzar gain na mila tu to yar haif
us be-wafa nen sun ke ghazab se kaha mujhe
kis din kiya tha mujh pe dil apna nisar haif
main tujh ko jaanta hi nahin hun KHuda ki son
aawe hai mujh ko hone se tere do-chaar haif
waqte ki til-ruKHan-e-jahan ka ye rang ho
phir zindagi jahan mein kije hazar-haif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.