piw sat rij rahna lazzat ise kate hain
piw sat rij rahna lazzat ise kate hain
Ali Adil Shah Shahi 2nd
MORE BYAli Adil Shah Shahi 2nd
piv saat riij rahnā lazzat ise kate haiñ
ap riij phir rijhānā san.at ise kate haiñ
muj nain ke nagar meñ lālan vatan kiye haiñ
jab anjuman ke logāñ ḳhalvat use kate haiñ
maiñ chhāñv ho piyā sañg laagī rahī huuñ daa.em
yak pal judā na honā vaslat use kate haiñ
gul hor gulāb miyāne na.iiñ kuch farq azal se
u piv suuñ mil rahī huuñ ulfat ise kutte haiñ
hit chor chit bhulāve maiñ aapne piyā kuuñ
aaqil jahāñ ke boleñ hikmat use kate haiñ
chāroñ pahar piyā sañg ka.ī bhāñt kar madan ke
sanjog ho rahī huuñ ishrat use kate haiñ
ruuñ ruuñ rasan karī maiñ 'shāhī' kā nānoñ lene
phir phir vo naam lenā rāhat ise kate haiñ
piw sat rij rahna lazzat ise kate hain
ap rij phir rijhana sanat ise kate hain
muj nain ke nagar mein lalan watan kiye hain
jab anjuman ke logan KHalwat use kate hain
main chhanw ho piya sang lagi rahi hun daem
yak pal juda na hona waslat use kate hain
gul hor gulab miyane nain kuch farq azal se
u piw sun mil rahi hun ulfat ise kutte hain
hit chor chit bhulawe main aapne piya kun
aaqil jahan ke bolen hikmat use kate hain
chaaron pahar piya sang kai bhant kar madan ke
sanjog ho rahi hun ishrat use kate hain
run run rasan kari main 'shahi' ka nanon lene
phir phir wo nam lena rahat ise kate hain
- Book : Ghazal Usne Chhedi (Part-1) (Pg. 43)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.