mera dil lala-ru ke gham ke rahne ki haweli hai
mirā dil lāla-rū ke ġham ke rahne kī havelī hai
jigar dāġhoñ señ tā.ūsī gulistān-e-gañdhīlī hai
uchhālā geñd saucer ko agar mansūr ne haq par
khaḌī ho rū-ba-rū suulī bhī kyā ḳhuub us ko jhelī hai
na samjhe koī ki hai mansūrī kā haq ke kahne meñ
qasam haq kī ki us ke saath suulī bhī akelī hai
kahāñ se qāfiya lā lā ke apne she'r meñ Dhālā
hai 'ājiz' dil meñ tere daaġh yā tuuñ shaiḳh-chillī hai
mera dil lala-ru ke gham ke rahne ki haweli hai
jigar daghon sen tausi gulistan-e-gandhili hai
uchhaala gend saucer ko agar mansur ne haq par
khaDi ho ru-ba-ru suli bhi kya KHub us ko jheli hai
na samjhe koi ki hai mansuri ka haq ke kahne mein
qasam haq ki ki us ke sath suli bhi akeli hai
kahan se qafiya la la ke apne she'r mein Dhaala
hai 'ajiz' dil mein tere dagh ya tun shaiKH-chilli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.