doston gul ka ye fasana hai
dostoñ gul kā ye fasānā hai
aaj Tuk suniyo kyā zamānā hai
mujh ko kahne lagā vo tanhā-gard
dostī tujh ko gar nibhānā hai
saat phir mat mire galī-ba-galī
tujh ko koī jānegā divānā hai
ye ravish ḳhuub na.iñ tirī nādāñ
ishq 'ālam ko kyā jatānā hai
mujh kamāñ-abrū saat jo aayā
tīr-e-mizhgāñ kā vo nishānā hai
maiñ kiyā arz ai karam-farmā
āshiqoñ ko ye kyā satānā hai
dekhnā terā har ghaḌī mujh ko
zindagī kā yahī bahānā hai
varna maiñ kab se mar chukā hotā
sirf ye kyā zabāñ pe laanā hai
sab samajh-būjh kar are zālim
aap hañsnā mujhe rulānā hai
tab vo ġhusse se shoḳh kahne lagā
ab maiñ jaanā ki tū divānā hai
vohīñ aaya zabāñ pe ye matla'
dil bhī kis taur kā siyānā hai
dostī tab hī kuchh nibhānā hai
baat kahne meñ ruuTh jaanā hai
doston gul ka ye fasana hai
aaj Tuk suniyo kya zamana hai
mujh ko kahne laga wo tanha-gard
dosti tujh ko gar nibhana hai
sat phir mat mere gali-ba-gali
tujh ko koi jaanega diwana hai
ye rawish KHub nain teri nadan
ishq 'alam ko kya jatana hai
mujh kaman-abru sat jo aaya
tir-e-mizhgan ka wo nishana hai
main kiya arz ai karam-farma
aashiqon ko ye kya satana hai
dekhna tera har ghaDi mujh ko
zindagi ka yahi bahana hai
warna main kab se mar chuka hota
sirf ye kya zaban pe lana hai
sab samajh-bujh kar are zalim
aap hansna mujhe rulana hai
tab wo ghusse se shoKH kahne laga
ab main jaana ki tu diwana hai
wohin aaya zaban pe ye matla'
dil bhi kis taur ka siyana hai
dosti tab hi kuchh nibhana hai
baat kahne mein ruTh jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.