dahr ke andhe kuen mein kas ke aawaza laga
dahr ke andhe kueñ meñ kas ke āvāza lagā
koī patthar pheñk kar paanī kā andāza lagā
zehn meñ sochoñ kā sūraj barf kī sūrat na rakh
kohr ke dīvār-o-dar par dhuup kā ġhāza lagā
raat bhī ab jā rahī hai apnī manzil kī taraf
kis kī dhun meñ jāgtā hai ghar kā darvāza lagā
kāñch ke bartan meñ jaise surḳh kāġhaz kā gulāb
vo mujhe itnā hī achchhā aur tar-o-tāza lagā
pyaar karne bhī na paayā thā ki rusvā.ī milī
jurm se pahle hī mujh ko sañg-e-ḳhamyāza lagā
shahr kī saḌkoñ par andhī raat ke pichhle-pahar
merā hī saaya mujhe rañgoñ kā shīrāza lagā
jaane rahtā hai kahāñ 'iqbāl-sājid' aaj kal
raat din dekhā hai us ke ghar kā darvāza lagā
dahr ke andhe kuen mein kas ke aawaza laga
koi patthar phenk kar pani ka andaza laga
zehn mein sochon ka suraj barf ki surat na rakh
kohr ke diwar-o-dar par dhup ka ghaza laga
raat bhi ab ja rahi hai apni manzil ki taraf
kis ki dhun mein jagta hai ghar ka darwaza laga
kanch ke bartan mein jaise surKH kaghaz ka gulab
wo mujhe itna hi achchha aur tar-o-taza laga
pyar karne bhi na paya tha ki ruswai mili
jurm se pahle hi mujh ko sang-e-KHamyaza laga
shahr ki saDkon par andhi raat ke pichhle-pahar
mera hi saya mujhe rangon ka shiraaza laga
jaane rahta hai kahan 'iqbaal-sajid' aaj kal
raat din dekha hai us ke ghar ka darwaza laga
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 63)
- Author : javaaz jaafrii
- Publication : jang publishar (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.