chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal paDta hai
chup hai āġhāz meñ, phir shor-e-ajal paḌtā hai
aur kahīñ biich meñ imkān kā pal paḌtā hai
ek vahshat hai ki hotī hai achānak taarī
ek ġham hai ki yakāyak hī ubal paḌtā hai
yaad kā phuul mahakte hī navāh-e-shab meñ
koī ḳhushbū se mulāqāt ko chal paḌtā hai
hujra-e-zāt meñ sannāTā hī aisā hai ki dil
dhyān meñ gūñjtī aahaT pe uchhal paḌtā hai
rok letā hai abad vaqt ke us paar kī raah
dūsrī samt se jā.ūñ to azal paḌtā hai
sā.atoñ kī yahī takrār hai jaarī har-dam
merī duniyā meñ koī aaj, na kal paḌtā hai
tāb-e-yak-lahza kahāñ husn-e-junūñ-ḳhez ke pesh
saañs lene se tavajjoh meñ ḳhalal paḌtā hai
mujh meñ phailī huī tārīkī se ghabrā ke koī
raushnī dekh ke mujh meñ se nikal paḌtā hai
jab bhī lagtā hai suḳhan kī na koī lau hai na rau
daf.atan harf koī ḳhuuñ meñ machal paḌtā hai
ġham chhupā.e nahīñ chhuptā hai karūñ kyā 'irfān'
naam luuñ us kā to āvāz meñ bal paḌtā hai
chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal paDta hai
aur kahin bich mein imkan ka pal paDta hai
ek wahshat hai ki hoti hai achanak tari
ek gham hai ki yakayak hi ubal paDta hai
yaad ka phul mahakte hi nawah-e-shab mein
koi KHushbu se mulaqat ko chal paDta hai
hujra-e-zat mein sannaTa hi aisa hai ki dil
dhyan mein gunjti aahaT pe uchhal paDta hai
rok leta hai abad waqt ke us par ki rah
dusri samt se jaun to azal paDta hai
saaton ki yahi takrar hai jari har-dam
meri duniya mein koi aaj, na kal paDta hai
tab-e-yak-lahza kahan husn-e-junun-KHez ke pesh
sans lene se tawajjoh mein KHalal paDta hai
mujh mein phaili hui tariki se ghabra ke koi
raushni dekh ke mujh mein se nikal paDta hai
jab bhi lagta hai suKHan ki na koi lau hai na rau
dafatan harf koi KHun mein machal paDta hai
gham chhupae nahin chhupta hai karun kya 'irfan'
nam lun us ka to aawaz mein bal paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.