chehre pe uske ashk ki tahrir ban gai
chehre pe us ke ashk kī tahrīr ban ga.ī
vo aañkh mere dard kī tafsīr ban ga.ī
maiñ ne to yūñhī raakh meñ pherī thiiñ uñgliyāñ
dekhā jo ġhaur se tirī tasvīr ban ga.ī
har samt haiñ kaTī paḌī phūloñ kī gardaneñ
ab ke sabā hī baaġh meñ shamshīr ban ga.ī
us kī nazar to kahtī thī parvāz ke liye
merī hī soch paañv kī zanjīr ban ga.ī
jis samt vo uThī hai udhar muḌ ga.ī hayāt
us kī nazar hī gardish-e-taqdīr ban ga.ī
chehre pe us ke ashk ki tahrir ban gai
wo aankh mere dard ki tafsir ban gai
main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan
dekha jo ghaur se teri taswir ban gai
har samt hain kaTi paDi phulon ki gardanen
ab ke saba hi bagh mein shamshir ban gai
us ki nazar to kahti thi parwaz ke liye
meri hi soch panw ki zanjir ban gai
jis samt wo uThi hai udhar muD gai hayat
us ki nazar hi gardish-e-taqdir ban gai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 02.07.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.