chale maqtal ki jaanib aur chhati khol di humne
chale maqtal kī jānib aur chhātī khol dī ham ne
baḌhāne par patañg aa.e to charḳhī khol dī ham ne
paḌā rahne do apne boriye par ham faqīroñ ko
phaTī rah jā.eñgī āñkheñ jo muTThī khol dī ham ne
kahāñ tak bojh baisākhī kā saarī zindagī Dhote
utarte hī kuñ.eñ meñ aaj rassī khol dī ham ne
farishto tum kahāñ tak nāma-e-a.amāl dekhoge
chalo ye nekiyāñ gin lo ki gaThrī khol dī ham ne
tumhārā naam aayā aur ham takne lage rasta
tumhārī yaad aa.ī aur khiḌkī khol dī ham ne
purāne ho chale the zaḳhm saare ārzūoñ ke
kaho chāragaroñ se aaj paTTī khol dī ham ne
tumhāre dukh uThā.e is liye phirte haiñ muddat se
tumhāre naam aa.ī thī jo chiTThī khol dī ham ne
chale maqtal ki jaanib aur chhati khol di hum ne
baDhane par patang aae to charKHi khol di hum ne
paDa rahne do apne boriye par hum faqiron ko
phaTi rah jaengi aankhen jo muTThi khol di hum ne
kahan tak bojh baisakhi ka sari zindagi Dhote
utarte hi kunen mein aaj rassi khol di hum ne
farishto tum kahan tak nama-e-amal dekhoge
chalo ye nekiyan gin lo ki gaThri khol di hum ne
tumhaara nam aaya aur hum takne lage rasta
tumhaari yaad aai aur khiDki khol di hum ne
purane ho chale the zaKHm sare aarzuon ke
kaho chaaragaron se aaj paTTi khol di hum ne
tumhaare dukh uThae is liye phirte hain muddat se
tumhaare nam aai thi jo chiTThi khol di hum ne
- Book : Sukhan Sarai (Pg. 135)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.