Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand

Ikram Janjua

kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand

Ikram Janjua

MORE BYIkram Janjua

    kyā jaane kis dhun meñ rahā dil-figār chāñd

    sañgam pe roz-o-shab ke Dhalā baar baar chāñd

    aa.ī na raat bhar koī panghaT pe sāñvlī

    paanī meñ chhup ke baiThā rahā be-qarār chāñd

    kirnoñ Doriyoñ se ulajhte ho kis liye

    kuchh bhī na de sakegā tujhe dāġh-dār chāñd

    baazū ke dā.ere vo mahak chūḌiyāñ khanak

    do-sā.e zard-chāñdnī dhīmī pukār chāñd

    sūraj thā vo to shaam se pahle Dhal gayā

    niile ufuq pe aur bhī haiñ be-shumār chāñd

    har roz mere ghar meñ utartā hai kis liye

    mujh ko bhī apne shahr meñ ik din utaar chāñd

    bastī ke log jāniye kyā sochte rahe

    bādal chhat pe soyā rahā sogvār chāñd

    ab chāñdnī ke naam se nafrat ho ga.ī

    'ikrām' zindagī ko lage aise chaar chāñd

    kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand

    sangam pe roz-o-shab ke Dhala bar bar chand

    aai na raat bhar koi panghaT pe sanwli

    pani mein chhup ke baiTha raha be-qarar chand

    kirnon ki Doriyon se ulajhte ho kis liye

    kuchh bhi na de sakega tujhe dagh-dar chand

    bazu ke daere wo mahak chuDiyan khanak

    do-sae zard-chandni dhimi pukar chand

    suraj tha wo to sham se pahle hi Dhal gaya

    nile ufuq pe aur bhi hain be-shumar chand

    har roz mere ghar mein utarta hai kis liye

    mujh ko bhi apne shahr mein ek din utar chand

    basti ke log jaaniye kya sochte rahe

    baadal ki chhat pe soya raha sogwar chand

    ab chandni ke nam se nafrat si ho gai

    'ikram' zindagi ko lage aise chaar chand

    Source :
    • Book : auraq salnama magazines (Pg. 530)
    • Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
    • Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
    • Edition : 1967

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now