bulandi der tak kis shaKHs ke hisse mein rahti hai
bulandī der tak kis shaḳhs ke hisse meñ rahtī hai
bahut ūñchī 'imārat har ghaḌī ḳhatre meñ rahtī hai
bahut jī chāhtā hai qaid-e-jāñ se ham nikal jaa.eñ
tumhārī yaad bhī lekin isī malbe meñ rahtī hai
ye aisā qarz hai jo maiñ adā kar hī nahīñ saktā
maiñ jab tak ghar na lauTūñ merī maañ sajde meñ rahtī hai
amīrī resham-o-kam-ḳhvāb meñ nangī nazar aa.ī
ġharībī shaan se ik TaaT ke parde meñ rahtī hai
maiñ insāñ huuñ bahak jaanā mirī fitrat meñ shāmil hai
havā bhī us ko chhū kar der tak nashshe meñ rahtī hai
mohabbat meñ parakhne jāñchne se fā.eda kyā hai
kamī thoḌī bahut har ek ke shajre meñ rahtī hai
ye apne aap ko taqsīm kar letā hai sūboñ meñ
ḳharābī bas yahī har mulk ke naqshe meñ rahtī hai
bulandi der tak kis shaKHs ke hisse mein rahti hai
bahut unchi 'imarat har ghaDi KHatre mein rahti hai
bahut ji chahta hai qaid-e-jaan se hum nikal jaen
tumhaari yaad bhi lekin isi malbe mein rahti hai
ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta
main jab tak ghar na lauTun meri man sajde mein rahti hai
amiri resham-o-kam-KHwab mein nangi nazar aai
gharibi shan se ek TaT ke parde mein rahti hai
main insan hun bahak jaana meri fitrat mein shamil hai
hawa bhi us ko chhu kar der tak nashshe mein rahti hai
mohabbat mein parakhne jaanchne se faeda kya hai
kami thoDi bahut har ek ke shajre mein rahti hai
ye apne aap ko taqsim kar leta hai subon mein
KHarabi bas yahi har mulk ke naqshe mein rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.