bulao usko zaban-dan jo mazhari ka ho
bulāo us ko zabāñ-dāñ jo 'maz.harī' kā ho
magar hai shart ki ikkīsvīñ sadī kā ho
yaqīñ vahī hai jo āġhosh-e-tīrgī meñ mile
savād-v-vahm meñ ham-sāya raushnī kā ho
butoñ ko toḌ ke aisā ḳhudā banānā kyā
butoñ kī tarah jo ham-shakl aadmī kā ho
mirā ġhurūr na kyuuñ ho surūr se ḳhālī
jab us ke bhes meñ ik chor kam-tarī kā ho
bahut bajā hai ye maz.hab kī maut par mātam
magar koī to azā-dār shā.erī kā ho
hai vaqt vo ki musallam ho āzarī us kī
sanam-kadoñ meñ sanam zehn 'maz.harī' kā ho
bulao us ko zaban-dan jo 'mazhari' ka ho
magar hai shart ki ikkiswin sadi ka ho
yaqin wahi hai jo aaghosh-e-tirgi mein mile
sawad-w-wahm mein ham-saya raushni ka ho
buton ko toD ke aisa KHuda banana kya
buton ki tarah jo ham-shakl aadmi ka ho
mera ghurur na kyun ho surur se KHali
jab us ke bhes mein ek chor kam-tari ka ho
bahut baja hai ye mazhab ki maut par matam
magar koi to aza-dar shaeri ka ho
hai waqt wo ki musallam ho aazari us ki
sanam-kadon mein sanam zehn 'mazhari' ka ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.