bin hawa ke hathon mein hai lahre jadu wale hain
biin havā ke hāthoñ meñ hai lahre jaadū vaale haiñ
chandan se chikne shānoñ par machal uThe do kaale haiñ
jañgal kī yā bāzāroñ kī dhuul uḌī hai svāgat ko
ham ne ghar ke bāhar jab bhī apne paañv nikāle haiñ
kaisā zamāna aayā hai ye ulTī riit hai ulTī baat
phūloñ ko kāñTe Daste haiñ jo in ke rakhvāle haiñ
ghar ke dukhḌe shahr ke ġham aur des bides kī chintā.eñ
in meñ kuchh āvāra kutte haiñ kuchh ham ne paale haiñ
ek usī ko dekh na paa.e varna shahr kī saḌkoñ par
achchhī achchhī poshākeñ haiñ achchhī sūrat vaale haiñ
raat meñ dil ko kyā sūjhī hai us ke gaañv ko chalne kī
jañgal meñ chīte rahte haiñ raah meñ naddī naale haiñ
donoñ kā milnā mushkil hai donoñ haiñ majbūr bahut
us ke paañv meñ mehñdī lagī hai mere paañv meñ chhāle haiñ
bin hawa ke hathon mein hai lahre jadu wale hain
chandan se chikne shanon par machal uThe do kale hain
jangal ki ya bazaron ki dhul uDi hai swagat ko
hum ne ghar ke bahar jab bhi apne panw nikale hain
kaisa zamana aaya hai ye ulTi rit hai ulTi baat
phulon ko kanTe Daste hain jo in ke rakhwale hain
ghar ke dukhDe shahr ke gham aur des bides ki chintaen
in mein kuchh aawara kutte hain kuchh hum ne pale hain
ek usi ko dekh na pae warna shahr ki saDkon par
achchhi achchhi poshaken hain achchhi surat wale hain
raat mein dil ko kya sujhi hai us ke ganw ko chalne ki
jangal mein chite rahte hain rah mein naddi nale hain
donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut
us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.