bhiD mein jab tak rahte hain joshile hain
bhiiḌ meñ jab tak rahte haiñ joshīle haiñ
alag alag ham log bahut sharmīle haiñ
ḳhvāb ke badle ḳhuun chukānā paḌtā hai
āñkhoñ ke ye khel baḌe ḳharchīle haiñ
bīnā.ī bhī kyā kyā dhoke detī hai
duur se dekho saare dariyā niile haiñ
sahrā meñ bhī gā.ūñ kā dariyā saath rahā
dekho mere paaoñ abhī tak giile haiñ
bhiD mein jab tak rahte hain joshile hain
alag alag hum log bahut sharmile hain
KHwab ke badle KHun chukana paDta hai
aankhon ke ye khel baDe KHarchile hain
binai bhi kya kya dhoke deti hai
dur se dekho sare dariya nile hain
sahra mein bhi gaun ka dariya sath raha
dekho mere paon abhi tak gile hain
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 31)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.