be-sabab hi kabhi aawaz lagao to sahi
be-sabab hī kabhī āvāz lagāo to sahī
apne hone kā kuchh ehsās dilāo to sahī
saañs letā huā har rang nazar aa.egā
tum kisī roz mire rang meñ aao to sahī
taaki phir raat kī tasvīr utārī jaa.e
in charāġhoñ ko zarā der bujhāo to sahī
hausla hai to jazīra bhī tumhārā hogā
ḳhauf kī kashtiyāñ sāhil pe jalāo to sahī
zindagī jism se bāhar bhī nazar aa.e kabhī
koī hangāma sar-e-rāh uThāo to sahī
merī miTTī meñ mohabbat hī mohabbat hai 'nabīl'
chhū ke dekho to sahī haath lagāo to sahī
be-sabab hi kabhi aawaz lagao to sahi
apne hone ka kuchh ehsas dilao to sahi
sans leta hua har rang nazar aaega
tum kisi roz mere rang mein aao to sahi
taki phir raat ki taswir utari jae
in charaghon ko zara der bujhao to sahi
hausla hai to jazira bhi tumhaara hoga
KHauf ki kashtiyan sahil pe jalao to sahi
zindagi jism se bahar bhi nazar aae kabhi
koi hangama sar-e-rah uThao to sahi
meri miTTi mein mohabbat hi mohabbat hai 'nabil'
chhu ke dekho to sahi hath lagao to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.