bahaar aai gulon ko hansi nahin aai
bahār aa.ī guloñ ko hañsī nahīñ aa.ī
kahīñ se bū tirī guftār kī nahīñ aa.ī
kuchh aur vajah hai kam ho ga.ī hai lazzat-e-jām
hamārī pyaas meñ koī kamī nahīñ aa.ī
ye kā.enāt sab āġhosh-e-nīm-shab meñ hai
zamāna ho gayā āvāz hī nahīñ aa.ī
dil ik daraḳht-e-zamīñ-bos baad o bārāñ se
ruteñ guzar ga.iiñ koñpal na.ī nahīñ aa.ī
na jaane kaisī ghaḌī se guzar rahe the ham
ki jāgte na rahe niiñd bhī nahīñ aa.ī
bahaar aai gulon ko hansi nahin aai
kahin se bu teri guftar ki nahin aai
kuchh aur wajah hai kam ho gai hai lazzat-e-jam
hamari pyas mein koi kami nahin aai
ye kaenat sab aaghosh-e-nim-shab mein hai
zamana ho gaya aawaz hi nahin aai
dil ek daraKHt-e-zamin-bos baad o baran se
ruten guzar gain konpal nai nahin aai
na jaane kaisi ghaDi se guzar rahe the hum
ki jagte na rahe nind bhi nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.