ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen
ba-ḳhudā haiñ tirī hindū bu-e-mai-ḳhvār āñkheñ
nashshe kī Dorī nahīñ pahneñ haiñ zunnār āñkheñ
nazr-e-dil māñgtī haiñ aap kī sarshār āñkheñ
'ain mastī meñ rahā kartī haiñ hoshiyār āñkheñ
mujh ko nazzāra hai us parda-nashīñ kā manzūr
kaash ban jaa.eñ mirī rauzan-e-dīvār āñkheñ
chashm-e-āhū se ġharaz thī na mujhe nargis se
tirī āñkhoñ se jo miltīñ na ye do-chār āñkheñ
chār-chashm is liye kahtā hai mujhe ik 'ālam
ki mirī āñkhoñ meñ phirtī haiñ tirī yaar āñkheñ
dekhte rahte haiñ ham raah tumhārī sāhab
aap aate nahīñ aa jaatī haiñ har baar āñkheñ
shoḳh-chashmī se chakāroñ ko vo dhamkātī haiñ
dekhnā ham se milānā na ḳhabar-dār āñkheñ
taak lete haiñ nazar-bāz haiñ ham bhī sāhab
dil churāyā hai churāte ho jo har baar āñkheñ
pyaar se maiñ ne jo dekhā to vo farmāte haiñ
dekhiye dekhiye hotī haiñ gunahgār āñkheñ
chuum lete haiñ vo ā.īne meñ āñkheñ apnī
lab masīhā.ī kareñge ki haiñ bīmār āñkheñ
chashm-e-baddūr hai kājal bhī to manzūr-e-nazar
kyuuñ nazar ho ga.ī kyuuñ ho ga.iiñ bīmār āñkheñ
ruḳh-e-sayyād jo dekhā hai to ab dekh ke gul
band kar lete haiñ murġhān-e-giraftār āñkheñ
ban ga.e panja-e-mizhgāñ bhī mirī dast-e-du'ā
dekh rakhtī haiñ na kuchh hasrat-e-dīdār āñkheñ
dast-e-vahshat meñ ġhazāloñ ko takā kartā huuñ
rāt-din pesh-e-nazar haiñ tirī ai yaar āñkheñ
ye mirā dāman-e-tar dāman-e-gulchīñ hogā
rang lā.eñgī abhī to mirī ḳhūñ-bār āñkheñ
murġh-e-dil us se kisī tarah nahīñ bach saktā
kahīñ shāhīn shikārī sī haiñ tayyār āñkheñ
chashm-e-maḳhmūr meñ saaqī kī ye kaifiyyat hai
nashsha mastoñ ke do-bālā hoñ jo hoñ chaar āñkheñ
chāhiye hazrat-e-mūsā ke liye jalva-e-tūr
tere dīdār kī haiñ apnī sazā-vār āñkheñ
āgara chhūT gayā 'mehr' to chunnār meñ bhī
DhūñDhā kartī haiñ vahī kūcha-o-bāzār āñkheñ
ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen
nashshe ki Dori nahin pahnen hain zunnar aankhen
nazr-e-dil mangti hain aap ki sarshaar aankhen
'ain masti mein raha karti hain hoshiyar aankhen
mujh ko nazzara hai us parda-nashin ka manzur
kash ban jaen meri rauzan-e-diwar aankhen
chashm-e-ahu se gharaz thi na mujhe nargis se
teri aankhon se jo miltin na ye do-chaar aankhen
chaar-chashm is liye kahta hai mujhe ek 'alam
ki meri aankhon mein phirti hain teri yar aankhen
dekhte rahte hain hum rah tumhaari sahab
aap aate nahin aa jati hain har bar aankhen
shoKH-chashmi se chakaron ko wo dhamkati hain
dekhna hum se milana na KHabar-dar aankhen
tak lete hain nazar-baz hain hum bhi sahab
dil churaya hai churaate ho jo har bar aankhen
pyar se main ne jo dekha to wo farmate hain
dekhiye dekhiye hoti hain gunahgar aankhen
chum lete hain wo aaine mein aankhen apni
lab masihai karenge ki hain bimar aankhen
chashm-e-baddur hai kajal bhi to manzur-e-nazar
kyun nazar ho gai kyun ho gain bimar aankhen
ruKH-e-sayyaad jo dekha hai to ab dekh ke gul
band kar lete hain murghan-e-giraftar aankhen
ban gae panja-e-mizhgan bhi meri dast-e-du'a
dekh rakhti hain na kuchh hasrat-e-didar aankhen
dast-e-wahshat mein ghazalon ko taka karta hun
raat-din pesh-e-nazar hain teri ai yar aankhen
ye mera daman-e-tar daman-e-gulchin hoga
rang laengi abhi to meri KHun-bar aankhen
murgh-e-dil us se kisi tarah nahin bach sakta
kahin shahin shikari si hain tayyar aankhen
chashm-e-maKHmur mein saqi ki ye kaifiyyat hai
nashsha maston ke do-baala hon jo hon chaar aankhen
chahiye hazrat-e-musa ke liye jalwa-e-tur
tere didar ki hain apni saza-war aankhen
aagara chhuT gaya 'mehr' to chunnar mein bhi
DhunDha karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.