ye nazuk si mere andar ki laDki
ye nāzuk sī mire andar kī laḌkī
ajab jazbe ajab tevar kī laḌkī
yūñhī zaḳhmī nahīñ haiñ haath mere
tarāshī maiñ ne ik patthar kī laḌkī
khaḌī hai fikr ke āzar-kade meñ
burīda-dast phir aazar kī laḌkī
anā khoī to kuḌh kar mar ga.ī vo
baḌī hassās thī andar kī laḌkī
sazāvār-e-hunar mujh ko na Thahrā
ye fan merā na maiñ aazar kī laḌkī
bikhar kar shīsha shīsha reza reza
simaT kar phuul se paikar kī laḌkī
havelī ke makīñ to chāhte the
ki ghar hī meñ rahe ye ghar kī laḌkī
ye nazuk si mere andar ki laDki
ajab jazbe ajab tewar ki laDki
yunhi zaKHmi nahin hain hath mere
tarashi main ne ek patthar ki laDki
khaDi hai fikr ke aazar-kade mein
burida-dast phir aazar ki laDki
ana khoi to kuDh kar mar gai wo
baDi hassas thi andar ki laDki
sazawar-e-hunar mujh ko na Thahra
ye fan mera na main aazar ki laDki
bikhar kar shisha shisha reza reza
simaT kar phul se paikar ki laDki
haweli ke makin to chahte the
ki ghar hi mein rahe ye ghar ki laDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.