aurat hun magar surat-e-kohsar khaDi hun
aurat huuñ magar sūrat-e-kohsār khaḌī huuñ
ik sach ke tahaffuz ke liye sab se laḌī huuñ
vo mujh se sitāroñ kā patā pūchh rahā hai
patthar kī tarah jis kī añgūThī meñ jaḌī huuñ
alfāz na āvāz na hamrāz na dam-sāz
ye kaise dorāhe pe maiñ ḳhāmosh khaḌī huuñ
is dasht-e-balā meñ na samajh ḳhud ko akelā
maiñ chob kī sūrat tire ḳheme meñ gaḌī huuñ
phūloñ pe barastī huuñ kabhī sūrat-e-shabnam
badlī huī rut meñ kabhī sāvan kī jhaḌī huuñ
aurat hun magar surat-e-kohsar khaDi hun
ek sach ke tahaffuz ke liye sab se laDi hun
wo mujh se sitaron ka pata puchh raha hai
patthar ki tarah jis ki anguThi mein jaDi hun
alfaz na aawaz na hamraaz na dam-saz
ye kaise dorahe pe main KHamosh khaDi hun
is dasht-e-bala mein na samajh KHud ko akela
main chob ki surat tere KHeme mein gaDi hun
phulon pe barasti hun kabhi surat-e-shabnam
badli hui rut mein kabhi sawan ki jhaDi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.