aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka
aur to koī bas na chalegā hijr ke dard ke māroñ kā
sub.h kā honā dūbhar kar deñ rasta rok sitāroñ kā
jhūTe sikkoñ meñ bhī uThā dete haiñ ye aksar sachchā maal
shakleñ dekh ke saude karnā kaam hai in banjāroñ kā
apnī zabāñ se kuchh na kaheñge chup hī raheñge āshiq log
tum se to itnā ho saktā hai pūchho haal bichāroñ kā
jis jipsi kā zikr hai tum se dil ko usī kī khoj rahī
yuuñ to hamāre shahr meñ aksar melā lagā nigāroñ kā
ek zarā sī baat thī jis kā charchā pahuñchā galī galī
ham gumnāmoñ ne phir bhī ehsān na maanā yāroñ kā
dard kā kahnā chīḳh hī uTTho dil kā kahnā vaz.a nibhāo
sab kuchh sahnā chup chup rahnā kaam hai izzat-dāroñ kā
'inshā' jī ab ajnabiyoñ meñ chain se baaqī umr kaTe
jin kī ḳhātir bastī chhoḌī naam na lo un pyāroñ kā
aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka
subh ka hona dubhar kar den rasta rok sitaron ka
jhuTe sikkon mein bhi uTha dete hain ye aksar sachcha mal
shaklen dekh ke saude karna kaam hai in banjaron ka
apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log
tum se to itna ho sakta hai puchho haal bichaaron ka
jis jipsi ka zikr hai tum se dil ko usi ki khoj rahi
yun to hamare shahr mein aksar mela laga nigaron ka
ek zara si baat thi jis ka charcha pahuncha gali gali
hum gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka
dard ka kahna chiKH hi uTTho dil ka kahna waza nibhao
sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daron ka
'insha' ji ab ajnabiyon mein chain se baqi umr kaTe
jin ki KHatir basti chhoDi nam na lo un pyaron ka
- Book : Chand Nagar (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.