arsa-e-KHwab se uTh halqa-e-tabir mein aa
arsa-e-ḳhvāb se uTh halqa-e-ta.abīr meñ aa
gum-shuda ro.ab-e-junūñ kāsa-e-tash.hīr meñ aa
intihā mabdā-e-hastī kī fanā hai yā baqā
ġhaur se dekhte haiñ baḳht kī tasvīr meñ aa
ai ḳharābāt-e-tanaffur ke pareshān makīñ
gar sukūñ chāhtā hai ishq kī tā'mīr meñ aa
hiddat-e-dīd nigāhoñ kī 'ibārat se nikal
aur yaḳh-basta mire rauzan-e-tahrīr meñ aa
chaḌh ke phir sar pe mire bole asīrī kā ḳhumār
qaid kar le mujhe phir zulf kī zanjīr meñ aa
'ahd-e-māzī ke ḳhush-ā.ind bhaTakte lamhe
vaqt aa pahuñchā hai ab haal kī jāgīr meñ aa
jal-bujhe garmī-e-anfās se donoñ kā vujūd
gholne ḳhud ko mire qurb kī tāsīr meñ aa
lazzat-e-vasl ko hāsil ho zamīñ kī jannat
mujh se milne ke liye vādī-e-kashmīr meñ aa
zer-e-pā rakh ke sabhī aks-e-fusūn-e-taqdīr
phir javāñ hone ko gahvāra-e-tadbīr meñ aa
ai ḳhizāñ-zād agar chāhtā hai rizq-e-bahār
dāman-e-zīst liye rauza-e-shabbīr meñ aa
'ājizī kahne lagī gar ho bulandī kī talab
dil jhukā dā.ira-e-na.ara-e-takbīr meñ aa
diyā ugte hue sūraj ne ye paiġhām 'nadīm'
in añdheroñ se nikal ḳhema-e-tanvīr meñ aa
arsa-e-KHwab se uTh halqa-e-tabir mein aa
gum-shuda roab-e-junun kasa-e-tashhir mein aa
intiha mabda-e-hasti ki fana hai ya baqa
ghaur se dekhte hain baKHt ki taswir mein aa
ai KHarabaat-e-tanaffur ke pareshan makin
gar sukun chahta hai ishq ki ta'mir mein aa
hiddat-e-did nigahon ki 'ibarat se nikal
aur yaKH-basta mere rauzan-e-tahrir mein aa
chaDh ke phir sar pe mere bole asiri ka KHumar
qaid kar le mujhe phir zulf ki zanjir mein aa
'ahd-e-mazi ke KHush-aind bhaTakte lamhe
waqt aa pahuncha hai ab haal ki jagir mein aa
jal-bujhe garmi-e-anfas se donon ka wujud
gholne KHud ko mere qurb ki tasir mein aa
lazzat-e-wasl ko hasil ho zamin ki jannat
mujh se milne ke liye wadi-e-kashmir mein aa
zer-e-pa rakh ke sabhi aks-e-fusun-e-taqdir
phir jawan hone ko gahwara-e-tadbir mein aa
ai KHizan-zad agar chahta hai rizq-e-bahaar
daman-e-zist liye rauza-e-shabbir mein aa
'ajizi kahne lagi gar ho bulandi ki talab
dil jhuka daira-e-nara-e-takbir mein aa
diya ugte hue suraj ne ye paigham 'nadim'
in andheron se nikal KHema-e-tanwir mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.