apni tanhai ka saman uTha lae hain
apnī tanhā.ī kā sāmān uThā laa.e haiñ
aaj ham 'mīr' kā dīvān uThā laa.e haiñ
in dinoñ apnī bhī vahshat kā ajab aalam hai
ghar meñ ham dasht-o-bayābān uThā laa.e haiñ
vus.at-e-halqa-e-zanjīr kī āvāz ke saath
ham vo qaidī haiñ ki zindān uThā laa.e haiñ
mere sāñsoñ meñ koī gholtā rahtā hai alaav
apne siine meñ vo tūfān uThā laa.e haiñ
ik na.e tarz pe ābād kareñge us ko
ham tire shahr kī pahchān uThā laa.e haiñ
zindagī ḳhud se mukarne nahīñ deñge tujh ko
apne hone ke sab imkān uThā laa.e haiñ
ham ne nuqsān meñ imkān ko rakkhā hī nahīñ
jitne mumkin the vo nuqsān uThā laa.e haiñ
kuchh to 'shāhid' ko bhī nisbat rahī hogī us se
vo jo TuuTā huā gul-dān uThā laa.e haiñ
apni tanhai ka saman uTha lae hain
aaj hum 'mir' ka diwan uTha lae hain
in dinon apni bhi wahshat ka ajab aalam hai
ghar mein hum dasht-o-bayaban uTha lae hain
wusat-e-halqa-e-zanjir ki aawaz ke sath
hum wo qaidi hain ki zindan uTha lae hain
mere sanson mein koi gholta rahta hai alaw
apne sine mein wo tufan uTha lae hain
ek nae tarz pe aabaad karenge us ko
hum tere shahr ki pahchan uTha lae hain
zindagi KHud se mukarne nahin denge tujh ko
apne hone ke sab imkan uTha lae hain
hum ne nuqsan mein imkan ko rakkha hi nahin
jitne mumkin the wo nuqsan uTha lae hain
kuchh to 'shahid' ko bhi nisbat rahi hogi us se
wo jo TuTa hua gul-dan uTha lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.