ajab tilism hai nairang-e-jawedani ka
ajab tilism hai nairañg-e-jāvedānī kā
ki TūTtā hī nahīñ nashsha ḳhud-gumānī kā
safar tamām huā jab sarāb kā to khulā
ajiib zā.iqa hotā hai ThanDe paanī kā
jahāñ pe ḳhatm vahīñ se shurūa hotī hai
tabhī to zikr-e-musalsal hai is kahānī kā
kidhar Dubo ke kahāñ par ubhārtā hai tū
ye kaisā rañg hai dariyā tirī ravānī kā
vo mujh meñ ab bhī vahī hausle talāshtā hai
kahāñ se DhūñD ke laa.eñ badal javānī kā
ajab tilism hai nairang-e-jawedani ka
ki TuTta hi nahin nashsha KHud-gumani ka
safar tamam hua jab sarab ka to khula
ajib zaiqa hota hai ThanDe pani ka
jahan pe KHatm wahin se shurua hoti hai
tabhi to zikr-e-musalsal hai is kahani ka
kidhar Dubo ke kahan par ubhaarta hai tu
ye kaisa rang hai dariya teri rawani ka
wo mujh mein ab bhi wahi hausle talashta hai
kahan se DhunD ke laen badal jawani ka
- Book : Aks e Gumgushta (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.