ab kya bataen TuTe hain kitne kahan se hum
ab kyā batā.eñ TuuTe haiñ kitne kahāñ se ham
ḳhud ko sameTte haiñ yahāñ se vahāñ se ham
kyā jaane kis jahāñ meñ milegā hameñ sukūn
nārāz haiñ zamīñ se ḳhafā āsmāñ se ham
ab to sarāb hī se bujhāne lage haiñ pyaas
lene lage haiñ kaam yaqīñ kā gumāñ se ham
lekin hamārī āñkhoñ ne kuchh aur kah diyā
kuchh aur kahte rah ga.e apnī zabāñ se ham
ā.īne se ulajhtā hai jab bhī hamārā aks
haT jaate haiñ bachā ke nazar darmiyāñ se ham
milte nahīñ haiñ apnī kahānī meñ ham kahīñ
ġhā.eb hue haiñ jab se tirī dāstāñ se ham
ġham bik rahe the mele meñ ḳhushiyoñ ke naam par
māyūs ho ke lauTe haiñ har ik dukāñ se ham
ab kya bataen TuTe hain kitne kahan se hum
KHud ko sameTte hain yahan se wahan se hum
kya jaane kis jahan mein milega hamein sukun
naraaz hain zamin se KHafa aasman se hum
ab to sarab hi se bujhane lage hain pyas
lene lage hain kaam yaqin ka guman se hum
lekin hamari aankhon ne kuchh aur kah diya
kuchh aur kahte rah gae apni zaban se hum
aaine se ulajhta hai jab bhi hamara aks
haT jate hain bacha ke nazar darmiyan se hum
milte nahin hain apni kahani mein hum kahin
ghaeb hue hain jab se teri dastan se hum
gham bik rahe the mele mein KHushiyon ke nam par
mayus ho ke lauTe hain har ek dukan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.