aankhon mein jal raha hai pa bujhta nahin dhuan
āñkhoñ meñ jal rahā hai pa bujhtā nahīñ dhuāñ
uThtā to hai ghaTā sā barastā nahīñ dhuāñ
palkoñ ke Dhāñpne se bhī ruktā nahīñ dhuāñ
kitnī uñDelīñ āñkheñ pa bujhtā nahīñ dhuāñ
āñkhoñ se āñsuoñ ke marāsim purāne haiñ
mehmāñ ye ghar meñ aa.eñ to chubhtā nahīñ dhuāñ
chūlhe nahīñ jalā.e ki bastī hī jal ga.ī
kuchh roz ho ga.e haiñ ab uThtā nahīñ dhuāñ
kaalī lakīreñ khīñch rahā hai fazāoñ meñ
baurā gayā hai muñh se kyuuñ khultā nahīñ dhuāñ
āñkhoñ ke pochhne se lagā aag kā pata
yuuñ chehra pher lene se chhuptā nahīñ dhuāñ
chingārī ik aTak sī ga.ī mere siine meñ
thoḌā sā aa ke phūñk do uḌtā nahīñ dhuāñ
aankhon mein jal raha hai pa bujhta nahin dhuan
uThta to hai ghaTa sa barasta nahin dhuan
palkon ke Dhanpne se bhi rukta nahin dhuan
kitni unDelin aankhen pa bujhta nahin dhuan
aankhon se aansuon ke marasim purane hain
mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan
chulhe nahin jalae ki basti hi jal gai
kuchh roz ho gae hain ab uThta nahin dhuan
kali lakiren khinch raha hai fazaon mein
baura gaya hai munh se kyun khulta nahin dhuan
aankhon ke pochhne se laga aag ka pata
yun chehra pher lene se chhupta nahin dhuan
chingari ek aTak si gai mere sine mein
thoDa sa aa ke phunk do uDta nahin dhuan
- Book : Yaar Julahe (Pg. 141)
- Author : Yatindra Mishra
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.