Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hai mera hindostan

Zubair Rizvi

ye hai mera hindostan

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    hañstā gaatā jīvan is dhuum machāte mausam

    gañgā jamunā lahroñ meñ saat suroñ ke sargam

    taaj elora jaise sundar tasvīroñ ke album

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    din albele rāteñ is mastī saudāgar

    dhartī jaise phuuT bahī ho duudh kachchī gāgar

    ūñche ūñche parbat is ke niile niile sāgar

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    bādal jhūme barkhā barse pavan jhakole khaa.e

    dhartī ke phaile āñgan meñ yuuñ khetī lahrā.e

    jaise bachcha maañ god meñ rah rah ke muskā.e

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    rādhā siitā chandr gaay gaay indūbāl

    nainoñ meñ kājal ke Dore surḳh gulābī gaal

    zulfoñ vo chhāyā jaise shimla nainital

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    Dholak jaagī mehñdī laagī rañg rañgīlā sāvan

    sakhiyāñ mil mil holī kheleñ sāñvaryā ke āñgan

    ghuñghaT meñ gorī sharmā.e piyā milan ke kāran

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    rājā-rānī guDDā-guDDī aur pariyoñ kahānī

    bachchoñ ke jhurmuT meñ sunā.e baiTh ke būḌhī naanī

    lorī gaay māthā chūme mamtā dīvānī

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    albelā punjab hai is rūmānoñ bastī

    sub.h-e-banaras shām-e-avadh aur shālīmār mastī

    bamba.ī jaise shahr haiñ is meñ dillī jaisī bastī

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    ġhālib aur tagore yahīñ ke miirā kālī-dās

    yahīñ huā thā sachchā.ī gautam ko ehsās

    yahīñ liyā thā saath raam ke siitā ne ban-bās

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    mandir masjid haiñ to kahīñ haiñ girjā aur shivāle

    mullā panDit giitā aur qur.ān ke haiñ matvāle

    hindū muslim sikh īsā.ī desh ke sab rakhvāle

    ye hai merā hindostān

    mere sapnoñ jahān

    is se pyaar hai mujh ko

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    hansta gata jiwan is ka dhum machate mausam

    ganga jamuna ki lahron mein sat suron ke sargam

    taj elora jaise sundar taswiron ke album

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    din albele raaten is ki masti ki saudagar

    dharti jaise phuT bahi ho dudh ki kachchi gagar

    unche unche parbat is ke nile nile sagar

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    baadal jhume barkha barse pawan jhakole khae

    dharti ke phaile aangan mein yun kheti lahrae

    jaise bachcha man ki god mein rah rah ke muskae

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    radha sita chandr gay gay indubaal

    nainon mein kajal ke Dore surKH gulabi gal

    zulfon ki wo chhaya jaise shimla nainital

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    Dholak jagi mehndi lagi rang rangila sawan

    sakhiyan mil mil holi khelen sanwarya ke aangan

    ghunghaT mein gori sharmae piya milan ke karan

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    raja-rani guDDa-guDDi aur pariyon ki kahani

    bachchon ke jhurmuT mein sunae baiTh ke buDhi nani

    lori gay matha chume mamta ki diwani

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    albela punjab hai is ka rumanon ki basti

    subh-e-banaras sham-e-awadh aur shaalimar ki masti

    bambai jaise shahr hain is mein dilli jaisi basti

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    ghaalib aur tagore yahin ke mera kali-das

    yahin hua tha sachchai ka gautam ko ehsas

    yahin liya tha sath ram ke sita ne ban-bas

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    mandir masjid hain to kahin hain girja aur shiwale

    mulla panDit gita aur quran ke hain matwale

    hindu muslim sikh isai desh ke sab rakhwale

    ye hai mera hindostan

    mere sapnon ka jahan

    is se pyar hai mujh ko

    Source :
    • Book : Sang-e-sada (Pg. 214)
    • Author : Zubair Rizvi
    • Publication : Zehn-e-jadid (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now