zulf o ruKH ke sae mein zindagi guzari hai
zulf o ruḳh ke saa.e meñ zindagī guzārī hai
dhuup bhī hamārī hai chhāñv bhī hamārī hai
ġham-gusār chehroñ par e'tibār mat karnā
shahr meñ siyāsat ke dost bhī shikārī hai
moḌ lene vaalī hai, zindagī koī shāyad
ab ke phir havāoñ meñ ek be-qarārī hai
haal ḳhuuñ meñ Duubā hai kal na jaane kyā hogā
ab ye ḳhauf-e-mustaqbil zehn zehn taarī hai
mere hī buzurgoñ ne sar-bulandiyāñ baḳhshīñ
mere hī qible par mashq-e-sañg-bārī hai
ik ajiib ThanDak hai is ke narm lahje meñ
lafz lafz shabnam hai baat baat pyārī hai
kuchh to pā.eñge us kī qurbatoñ kā ḳhamyāza
dil to ho chuke TukḌe ab saroñ kī baarī hai
baap bojh Dhotā thā kyā jahez de paatā
is liye vo shahzādī aaj tak kuñvārī hai
kah do 'mīr' o 'ġhālib' se ham bhī sher kahte haiñ
vo sadī tumhārī thī ye sadī hamārī hai
karbalā nahīñ lekin jhuuT aur sadāqat meñ
kal bhī jañg jaarī thī ab bhī jañg jaarī hai
gaañv meñ mohabbat kī rasm hai abhī 'manzar'
shahr meñ hamāre to jo bhī hai madārī hai
zulf o ruKH ke sae mein zindagi guzari hai
dhup bhi hamari hai chhanw bhi hamari hai
gham-gusar chehron par e'tibar mat karna
shahr mein siyasat ke dost bhi shikari hai
moD lene wali hai, zindagi koi shayad
ab ke phir hawaon mein ek be-qarari hai
haal KHun mein Duba hai kal na jaane kya hoga
ab ye KHauf-e-mustaqbil zehn zehn tari hai
mere hi buzurgon ne sar-bulandiyan baKHshin
mere hi qible par mashq-e-sang-bari hai
ek ajib ThanDak hai is ke narm lahje mein
lafz lafz shabnam hai baat baat pyari hai
kuchh to paenge us ki qurbaton ka KHamyaza
dil to ho chuke TukDe ab saron ki bari hai
bap bojh Dhota tha kya jahez de pata
is liye wo shahzadi aaj tak kunwari hai
kah do 'mir' o 'ghaalib' se hum bhi sher kahte hain
wo sadi tumhaari thi ye sadi hamari hai
karbala nahin lekin jhuT aur sadaqat mein
kal bhi jang jari thi ab bhi jang jari hai
ganw mein mohabbat ki rasm hai abhi 'manzar'
shahr mein hamare to jo bhi hai madari hai
- Book : Zindagi (Pg. 23)
- Author : Manzar Bhopali
- Publication : Nasir Publicans, Urdu Bazar Krachi (P.K.) (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.