zindagi bhar main sargirani se
zindagī bhar maiñ sargirānī se
aise khelā huuñ jaise paanī se
kitne hī ġham nikharne lagte haiñ
ek lamhe kī shādmānī se
har kahānī mirī kahānī thī
jī na bahlā kisī kahānī se
sirf vaqtī sukūn miltā hai
pyaas bujhtī nahīñ hai paanī se
mujh ko kyā kyā na dukh mile 'sāqī'
mere apnoñ kī mehrbānī se
zindagi bhar main sargirani se
aise khela hun jaise pani se
kitne hi gham nikharne lagte hain
ek lamhe ki shadmani se
har kahani meri kahani thi
ji na bahla kisi kahani se
sirf waqti sukun milta hai
pyas bujhti nahin hai pani se
mujh ko kya kya na dukh mile 'saqi'
mere apnon ki mehrbani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.