zamin walon ki basti mein sukunat chahti hai
zamīñ vāloñ kī bastī meñ sukūnat chāhtī hai
mirī fitrat sitāroñ se ijāzat chāhtī hai
ajab Thahrāo paidā ho rahā hai roz o shab meñ
mirī vahshat koī taaza aziyyat chāhtī hai
maiñ tujh ko likhte likhte thak chukā huuñ merī duniyā
mirī tahrīr ab thoḌī sī fursat chāhtī hai
udhar muñh-zor maujeñ dandanātī phir rahī haiñ
magar ik naav dariyā se baġhāvat chāhtī hai
zamin walon ki basti mein sukunat chahti hai
meri fitrat sitaron se ijazat chahti hai
ajab Thahrao paida ho raha hai roz o shab mein
meri wahshat koi taza aziyyat chahti hai
main tujh ko likhte likhte thak chuka hun meri duniya
meri tahrir ab thoDi si fursat chahti hai
udhar munh-zor maujen dandanati phir rahi hain
magar ek naw dariya se baghawat chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.