zaKHm ke rang hain kya meri rida jaanti hai
zaḳhm ke rañg haiñ kyā merī ridā jāntī hai
kis ne kī kis se vafā ḳhud ye vafā jāntī hai
ab qafas aur gulistāñ meñ koī farq nahīñ
ham ko ḳhushbū kī talab hai ye sabā jāntī hai
ḳhud-parastī ke mahallāt meñ rahne vaalo
zalzala aane ko hai larzish-e-pā jāntī hai
maiñ nahīñ jāntā daryūza-garī ko lekin
mere lab par hai duā kyā ye duā jāntī hai
kashtī-e-umr mirī Dol rahī hai 'ābid'
sāhil-e-zīst kī ālūda havā jāntī hai
zaKHm ke rang hain kya meri rida jaanti hai
kis ne ki kis se wafa KHud ye wafa jaanti hai
ab qafas aur gulistan mein koi farq nahin
hum ko KHushbu ki talab hai ye saba jaanti hai
KHud-parasti ke mahallat mein rahne walo
zalzala aane ko hai larzish-e-pa jaanti hai
main nahin jaanta daryuza-gari ko lekin
mere lab par hai dua kya ye dua jaanti hai
kashti-e-umr meri Dol rahi hai 'abid'
sahil-e-zist ki aaluda hawa jaanti hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 384)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.