yun juda hue mere dard-ashna mujhse
yuuñ judā hue mere dard-āshnā mujh se
ek se ḳhafā huuñ maiñ dūsrā ḳhafā mujh se
ik diye se koshish kī dūsrā jalāne kī
aur is amal meñ phir vo bhī bujh gayā mujh se
terī aarzū kyā hai kyā nahīñ samajhtā maiñ
dekh apnī ḳhvāhish ko aur mat chhupā mujh se
raah kā shajar huuñ maiñ aur ik musāfir tū
de koī duā mujh ko le koī duā mujh se
maiñ ujaaḌ gulshan meñ is liye hī baiThā huuñ
bāñTtā hai dukh apnā mauja-e-sabā mujh se
yun juda hue mere dard-ashna mujh se
ek se KHafa hun main dusra KHafa mujh se
ek diye se koshish ki dusra jalane ki
aur is amal mein phir wo bhi bujh gaya mujh se
teri aarzu kya hai kya nahin samajhta main
dekh apni KHwahish ko aur mat chhupa mujh se
rah ka shajar hun main aur ek musafir tu
de koi dua mujh ko le koi dua mujh se
main ujaD gulshan mein is liye hi baiTha hun
banTta hai dukh apna mauja-e-saba mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.