yun ba-zahir to pas-e-pusht na Daloge hamein
yuuñ ba-zāhir to pas-e-pusht na Dāloge hameñ
jānte haiñ baḌī izzat se nikāloge hameñ
apnā ghar-bār hai ab.ād-e-makānī se buland
vaqt ko DhūñDne nikloge to pā loge hameñ
itne zālim na bano kuchh to muravvat sīkho
tum pe marte haiñ to kyā maar hī Dāloge hameñ
tum nahīñ aa.e nahīñ aa.e magar sochā thā
ham agar ruuTh bhī jaa.eñ to manā loge hameñ
ham tire sāmne ā.eñge nagīna ban kar
pahle ye va.ada karo phir se churā loge hameñ
tum bhī the bazm meñ ye soch ke ham ne pī lī
ham agar mast hue bhī to sañbhāloge hameñ
qābil-e-rahm bane phirte haiñ is aas pe ham
apne siine se kisī roz lagā loge hameñ
ham baḌī qīmtī miTTī se banā.e ga.e haiñ
ḳhud ko ham bechnā chāheñge to kyā loge hameñ
ham bhī kuchh apnī tamannā.eñ sunā.eñge tumheñ
jab tum apnī ye tamannā.eñ sunā loge hameñ
tum se ham duur chale aa.e haiñ sadiyoñ ke qarīb
raushnī ban ke agar aao to aa loge hameñ
ham na bhūleñge tumheñ jitnī bhī koshish kar lo
bhūlne ke liye har baar ḳhayāloge hameñ
yun ba-zahir to pas-e-pusht na Daloge hamein
jaante hain baDi izzat se nikaloge hamein
apna ghar-bar hai abaad-e-makani se buland
waqt ko DhunDne nikloge to pa loge hamein
itne zalim na bano kuchh to murawwat sikho
tum pe marte hain to kya mar hi Daloge hamein
tum nahin aae nahin aae magar socha tha
hum agar ruTh bhi jaen to mana loge hamein
hum tere samne aaenge nagina ban kar
pahle ye wada karo phir se chura loge hamein
tum bhi the bazm mein ye soch ke hum ne pi li
hum agar mast hue bhi to sanbhaaloge hamein
qabil-e-rahm bane phirte hain is aas pe hum
apne sine se kisi roz laga loge hamein
hum baDi qimti miTTi se banae gae hain
KHud ko hum bechna chahenge to kya loge hamein
hum bhi kuchh apni tamannaen sunaenge tumhein
jab tum apni ye tamannaen suna loge hamein
tum se hum dur chale aae hain sadiyon ke qarib
raushni ban ke agar aao to aa loge hamein
hum na bhulenge tumhein jitni bhi koshish kar lo
bhulne ke liye har bar KHayaloge hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.