Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye to sach hai ki safi ki nahin niyyat achchhi

Safi Aurangabadi

ye to sach hai ki safi ki nahin niyyat achchhi

Safi Aurangabadi

MORE BYSafi Aurangabadi

    ye to sach hai ki safī' nahīñ niyyat achchhī

    haañ magar paa.ī hai zālim ne tabī.at achchhī

    kyā huā aap ne paa.ī hai jo sūrat achchhī

    aadmī vo hai ki jis ho tabī.at achchhī

    aaj vo pūchhne aa.e haiñ hamārā matlab

    sun liyā thā kahīñ matlab mohabbat achchhī

    ḳhūbsūrat hai vahī jis pe zamāna rījhe

    yuuñ to har ek ko hai apnī sūrat achchhī

    kuchh bhī ho ek tamannā to bañdhī rahtī hai

    tujh se sau darja tire milne hasrat achchhī

    nahīñ apne meñ koī chāhne vaalā terā

    Daal Dālne vāloñ ne adāvat achchhī

    koī armān nahīñ hai to faqat betābī

    vasl se tere sitamgar tirī furqat achchhī

    un ke aate badal jaate haiñ tere tevar

    ai safī' chāhiye insān niyyat achchhī

    ye to sach hai ki safi' ki nahin niyyat achchhi

    han magar pai hai zalim ne tabiat achchhi

    kya hua aap ne pai hai jo surat achchhi

    aadmi wo hai ki jis ki ho tabiat achchhi

    aaj wo puchhne aae hain hamara matlab

    sun liya tha kahin matlab ki mohabbat achchhi

    KHubsurat hai wahi jis pe zamana rijhe

    yun to har ek ko hai apni hi surat achchhi

    kuchh bhi ho ek tamanna to bandhi rahti hai

    tujh se sau darja tere milne ki hasrat achchhi

    nahin apne mein koi chahne wala tera

    Dal di Dalne walon ne adawat achchhi

    koi arman nahin hai to faqat betabi

    wasl se tere sitamgar teri furqat achchhi

    un ke aate hi badal jate hain tere tewar

    ai safi' chahiye insan ki niyyat achchhi

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 231)
    • Author : Safi Auranjabadi
    • Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
    • Edition : 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now