ye ghumta hua aaina apna Thahra ke
ye ghūmtā huā ā.īna apnā Thahrā ke
zarā dikhā mirā rafta tū charḳh palTā ke
hai kā.enāt muamma judā tarīqe kā
faqat sulajhtā hai aapas meñ girheñ uljhā ke
natīja ek sā niklā dimāġh aur dil kā
ki donoñ haar ga.e imtihāñ meñ duniyā ke
musāfiroñ se rahā hai vo rāstā ābād
palaT ke aa.e nahīñ jis se pesh-rau jā ke
ye hijr-zād samajhtā hai kam visāl kī baat
batā jo ramz-o-kināya haiñ ḳhuub phailā ke
ki band rahtā hai shahr-e-talab kā darvāza
yaqīn aayā mujhe baar baar jā aa ke
ḳhafīf ho ke maiñ chehre ko pher letā huuñ
agar guzartā hai tujh āshnā sā katrā ke
javāb merā ġhalat thā savāl us kā durust
khulā ye mujh pe kisī nā-samajh ko samjhā ke
ye ghumta hua aaina apna Thahra ke
zara dikha mera rafta tu charKH palTa ke
hai kaenat muamma juda tariqe ka
faqat sulajhta hai aapas mein girhen uljha ke
natija ek sa nikla dimagh aur dil ka
ki donon haar gae imtihan mein duniya ke
musafiron se raha hai wo rasta aabaad
palaT ke aae nahin jis se pesh-rau ja ke
ye hijr-zad samajhta hai kam visal ki baat
bata jo ramz-o-kinaya hain KHub phaila ke
ki band rahta hai shahr-e-talab ka darwaza
yaqin aaya mujhe bar bar ja aa ke
KHafif ho ke main chehre ko pher leta hun
agar guzarta hai tujh aashna sa katra ke
jawab mera ghalat tha sawal us ka durust
khula ye mujh pe kisi na-samajh ko samjha ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.