yahan har shaKHs har pal hadsa hone se Darta hai
yahāñ har shaḳhs har pal hādsa hone se Dartā hai
khilaunā hai jo miTTī kā fanā hone se Dartā hai
mire dil ke kisī kone meñ ik ma.asūm sā bachcha
baḌoñ kī dekh kar duniyā baḌā hone se Dartā hai
na bas meñ zindagī us ke na qaabū maut par us kā
magar insān phir bhī kab ḳhudā hone se Dartā hai
ajab ye zindagī kī qaid hai duniyā kā har insāñ
rihā.ī māñgtā hai aur rihā hone se Dartā hai
yahan har shaKHs har pal hadsa hone se Darta hai
khilauna hai jo miTTi ka fana hone se Darta hai
mere dil ke kisi kone mein ek masum sa bachcha
baDon ki dekh kar duniya baDa hone se Darta hai
na bas mein zindagi us ke na qabu maut par us ka
magar insan phir bhi kab KHuda hone se Darta hai
ajab ye zindagi ki qaid hai duniya ka har insan
rihai mangta hai aur riha hone se Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.